اردو हिंदी
Chandni chhiTki hui ho to ghazal hoti hai | Shaahi Shayari
chandni chhiTki hui ho to ghazal hoti hai

Ghazal

Chandni chhiTki hui ho to ghazal hoti hai

Riyasat Ali Taj

;

chandni chhiTki hui ho to ghazal hoti hai
jal-pari pas khaDi ho to ghazal hoti hai

dil-nashin koi nazara koi dilkash manzar
baat dilchasp koi ho to ghazal banti hai

ya kisi dard mein Dubi hui aawaz-e-nahif
ya koi chiKH suni ho to ghazal hoti hai

shairi nam hai ehsas ke lau pane ka
aag si dil mein dabi ho to ghazal hoti hai

koi khilta hua chehra koi ghuncha koi phul
aankhen sairab hui ho to ghazal hoti hai

darmiyan aap ke mere koi hail ho jae
koi diwar khaDi ho to ghazal hoti hai

koi jiddat koi nudrat koi pakiza KHayal
han koi baat nai ho to ghazal hoti hai

pahle shair ko mile zehn-e-rasa qalb-gudaz
phir wo lafzon ka dhani ho to ghazal hoti hai

aam haalat mein hoti nahin ai 'taj' ghazal
kuchh na kuchh dard-sari ho to ghazal hoti hai