chandi wale, shishe wale, aankhon wale shahr mein
kho gaya ek shaKHs mujh se, dekhe-bhaale shahr mein
mandiron ke sehn mein sadiyon purani ghanTiyan
dewiyon ke husn ke kohna hawale shahr mein
sard raaton ki hawa mein uDte patton ke masil
kaun tere shab-nawardon ko sambhaale shahr mein
kanch ki shaKHon pe laTke teri wahshat ke samar
teri wahshat ke samar bhi hum ne pale shahr mein
dil ke reshon se rida-e-nur bunte miT gae
shab ki faslon mein nahin aasan ujale shahr mein
Ghazal
Chandi wale, shishe wale, aankhon wale shahr mein
Ali Akbar Natiq