chandi ka badan sone ka man DhunD raha hai
auron main hi achchhai ka dhan DhunDh raha hai
kuchh peD hain nafrat ki hawa jin se baDhi hai
ye bagh magar ab bhi aman DhunD raha hai
sangam ke ilaqe se hai pahchan hamari
ye dil to wahi gang-o-jaman DhunD raha hai
anjaan se ek KHauf ko Dhota hua insan
apne ko bachane ka jatan DhunD raha hai
ganw ke har ek KHwab mein shahron ki kahani
shahron mein jise dekho watan DhunD raha hai
logon ne yahan ram se sikha to yahi bas
har shaKHs hi sone ka hiran DhunD raha hai

Ghazal
Chandi ka badan sone ka man DhunD raha hai
Pratap Somvanshi