chandi jaisi jhilmil machhli pani pighle nilam sa
shaKHen jis par jhuki hui hain dariya bahte sargam sa
suraj raushan rasta dega kale gahre jangal mein
KHauf andheri raaton ka ab naqsh hua hai maddham sa
dard na uTTha koi dil mein lahu na Tapka aankhon se
kahne wala bujha bujha tha qissa bhi tha mubham sa
hansti gati sab taswiren sakit aur mabhut huin
lagta hai ab shahr hi sara ek purane album sa
sard akela bistar 'fikri' nind pahaDon par khaDi
garm hawa ka jhonka DhunDun ji se gile mausam sa
Ghazal
Chandi jaisi jhilmil machhli pani pighle nilam sa
Parkash Fikri