اردو हिंदी
Chandi jaisa rang hai tera sone jaise baal | Shaahi Shayari
chandi jaisa rang hai tera sone jaise baal

Ghazal

Chandi jaisa rang hai tera sone jaise baal

Qateel Shifai

;

chandi jaisa rang hai tera sone jaise baal
ek tu hi dhanwan hai gori baqi sab kangal

har aangan mein aae tere ujle rup ki dhup
chhail-chhabeli rani thoDa ghunghaT aur nikal

bhar bhar nazren dekhen tujh ko aate-jate log
dekh tujhe badnam na kar de ye hirni si chaal

kitni sundar nar ho koi main aawaz na dun
tujh sa jis ka nam nahin hai wo ji ka janjal

samne tu aae to dhaDken mil kar lakhon dil
ab jaana dharti par kaise aate hain bhaunchaal

beach mein rang-mahal hai tera khai chaaron or
hum se milne ki ab gori tu hi rah nikal

kar sakte hain chah teri ab 'sarmad' ya 'mansur'
mile kisi ko dar yahan aur khinche kisi ki khaal

ye duniya hai KHud-gharazon ki lekin yar 'qatil'
tu ne hamara sath diya to jiye hazaron sal