chand ubhrega to phir hashr dikhai dega
shab ki pahnai mein har aks duhai dega
mere chehre pe kisi aur ki aankhen hongi
phir kahan kis ko kisi or sujhai dega
aap ne aankh mein jo KHwab saja rakkhe hain
un ko tabir mera dast-e-hinai dega
meri hairat meri wahshat ka pata puchhti hai
dekhiye kaun kise pahle rasai dega
jis ne kanon pe biTha rakkhe hain Dar ke pahre
is ko kab shabd mera koi sunai dega
Ghazal
Chand ubhrega to phir hashr dikhai dega
Ambarin Salahuddin