chand tanha hai kahkashan tanha
hijr ki raat aasman tanha
bhagti rail shor sannaTa
rah gai be-sada zaban tanha
rang aur nur se rahe mahrum
hum faqiron ke aastan tanha
kaisi nafrat ki aag phaili hai
jal raha hai mera makan tanha
aandhiyan bijliyan shajar kamzor
bach na paega aashiyan tanha
thak ke sab so gae hain mahfil mein
KHud hi sunta hun dastan tanha
koi jadu na rahbar koi
ab kahan jae karwan tanha
pas gar tu nahin to kya gham hai
sath apne hai ek jahan tanha

Ghazal
Chand tanha hai kahkashan tanha
Rasheeduzzafar