chand taron se bhara ye aasman de jaunga
KHud rahunga dhup mein aur saeban de jaunga
mere achchhe ham-safar tujh ko bhi main jate hue
rah se bhaTka hua ek karwan de jaunga
hain zuleKHaen bahut koi bhi yusuf ho to main
misr ke bazar mein us ko dukan de jaunga
jis ne toDa dil mera aur KHwab kirchi kar diye
us ko shishe ka bana main ek makan de jaunga
mere sahil par rukengi jis nazar ki kashtiyan
us ki palkon ko naya ek baadban de jaunga
dushmanon ke samne to be-KHatar jaunga 'shad'
tir un ke toD kar phir ek kaman de jaunga
Ghazal
Chand taron se bhara ye aasman de jaunga
Ashraf Shad