chand taron ne bhi jab raKHt-e-safar khola hai
hum ne har subh ek ummid pe dar khola hai
main bhaTakta raha saDkon pe teri basti mein
kab kisi ne meri KHatir koi ghar khola hai
ho gai aur bhi rangin teri yaadon ki bahaar
khilte phulon ne mera zaKHm-e-jigar khola hai
un ki palkon se gire TuT ke kuchh taj-mahal
nind se chaunk ke jab dida-e-tar khola hai
yar mera to muqaddar hai wo chadar jis ne
panw khole hain kabhi aur kabhi sar khola hai
raat bhaari kaTi shayad gae din lauT aae
shams' ne parcham-e-ummid-e-sahar khola hai
Ghazal
Chand taron ne bhi jab raKHt-e-safar khola hai
Shams Farrukhabadi