اردو हिंदी
Chand-taron ka tere ru-ba-ru sajda karna | Shaahi Shayari
chand-taron ka tere ru-ba-ru sajda karna

Ghazal

Chand-taron ka tere ru-ba-ru sajda karna

Urooj Zaidi Badayuni

;

chand-taron ka tere ru-ba-ru sajda karna
KHwab dekha hai to kya KHwab ka charcha karna

husn-e-barham se mera arz-e-tamanna karna
jaise tufan mein sahil se kinara karna

ras aaega na ye koshish-e-beja karna
bad-gumani ko baDha kar mujhe tanha karna

meri jaanib se hai KHamosh dariche ka sawal
kab se sikha teri aawaz ne parwa karna

har-qadam par meri kanTon ne pazirai ki
jurm puchho to bahaaron ki tamanna karna

dawat-e-shoKHi-e-taqdir use kahte hain
kar-e-imroz na karna gham-e-farda karna

un ki mohtat-nigahi ne bharam khol diya
jin ko manzur na tha raaz ka ifsha karna

waqt ke hathon mein tiryak bhi hai zahr bhi hai
us ko yak-rang samajh kar na bharosa karna

tarjuman-e-gham-e-dil un ki nazar hoti hai
jin ko aata nahin izhaar-e-tamanna karna

KHud-numai nahin insan ki KHuddari hai
parcham-e-azmat-e-kirdar ko uncha karna

zulmat-e-jumbish-e-lab ki nahin ummid magar
nigah-e-naz na bhulegi ishaara karna

go main yusuf nahin daman to mere pas bhi hai
tum zara pairwi-e-dast-e-zuleKHa karna

ai ki tu nazish-e-sannai-e-dast-e-fitrat
kash aata na tujhe KHun-e-tamanna karna

jada-e-ishq mein ek aisa maqam aata hai
shart-e-awwal hai jahan tark-e-tamanna karna

aap ke ahd-e-wafa par mera iman jaise
kisi girti hui diwar pe takiya karna

koshish-e-zabt mein har sans qayamat hai 'uruj'
khel samjhe ho gham-e-dil ko gawara karna