اردو हिंदी
Chand tare jise har shab dekhen | Shaahi Shayari
chand tare jise har shab dekhen

Ghazal

Chand tare jise har shab dekhen

Anwar Anjum

;

chand tare jise har shab dekhen
hum bhi us shoKH ko yarab dekhen

yun milen un se ki apna chehra
wo bhi hairan hon, kal jab dekhen

pahle bas dil ko KHabar thi dil ki
ab wafa aam hui sab dekhen

qurb mein kya hai jo duri mein nahin
tum jo aao to kisi shab dekhen

ji mein hai phir karen izhaar-e-wafa
phir tere larze hue lab dekhen

main ki hun ek hi aashufta-KHayal
log har baat mein matlab dekhen

jo kisi ne kabhi dekhe na sune
wo tamashe wo fusun ab dekhen

lakh patthar sahi wo but 'anjum'
do-ghaDi hum se mile tab dekhen