chand tare bana ke kaghaz par
KHush hue ghar saja ke kaghaz par
bastiyan kyun talash karte hain
log jangal uga ke kaghaz par
jaane kya hum se kah gaya mausam
KHushk patta gira ke kaghaz par
hanste hanste miTa diye us ne
shahr kitne basa ke kaghaz par
hum ne chaha ki hum bhi uD jaen
ek chiDiya uDa ke kaghaz par
log sahil talash karte hain
ek dariya baha ke kaghaz par
naw suraj ki dhup ka dariya
tham gae kaise aa ke kaghaz par
KHwab bhi KHwab ho gae 'adil'
shakl-o-surat dikha ke kaghaz par
Ghazal
Chand tare bana ke kaghaz par
Aadil Raza Mansoori