اردو हिंदी
Chand suraj shafaq kahkashan KHatm-shud | Shaahi Shayari
chand suraj shafaq kahkashan KHatm-shud

Ghazal

Chand suraj shafaq kahkashan KHatm-shud

Mehboob Rahi

;

chand suraj shafaq kahkashan KHatm-shud
ab uDun kis taraf aasman KHatm-shud

regzar-e-yaqin ta-ba-hadd-e-nazar
sabza-zar-e-KHayal-o-guman KHatm-shud

phir hua yun ki aankh ek dam khul gai
muKHtasar ye ki bas dastan KHatm-shud

fikr ke sare gul-buTe murjha gae
zehn ki sari shadabiyan KHatm-shud

us ne aate hi sab khiDkiyan khol din
dafatan sar mein tha jo dhuan KHatm-shud

rishte-nate sabhi jun ke tun hain magar
ek taqaddus jo tha darmiyan KHatm-shud

zehn ko ab nichoDun to Tapke ghazal
thi kabhi wo jo tab-e-rawan KHatm-shud