chand sitaron se kya puchhun kab din mere phirte hain
wo to bichaare KHud hain bhikari Dere Dere phirte hain
jin galiyon mein hum ne sukh ki sej pe raaten kaTi thin
un galiyon mein byakul ho kar sanjh sawere phirte hain
rup-sarup ki jot jagana us nagri mein jokham hai
chaaron khunT bagule ban kar ghor andhere phirte hain
jin ke shyam-baran sae mein mera man sustaya tha
ab tak aankhon ke aage wo baal ghanere phirte hain
koi hamein bhi ye samjha do un par dil kyun rijh gaya
dekhi chitwan banki chhab wale bahtere phirte hain
ek din us ne nain mila ke sharma ke mukh moDa tha
tab se sundar sundar sapne man ko ghere phirte hain
us nagri ke bagh aur man ki yaro laila nyari hai
panchhi apne sar pe uTha kar apne basere phirte hain
log to daman si lete hain jaise ho ji lete hain
'abid' hum diwane hain jo baal bikhere phirte hain
Ghazal
Chand sitaron se kya puchhun kab din mere phirte hain
Syed Aabid Ali Aabid