chand sitare qaid hain sare waqt ke bandi-KHane mein
lekin main aazad hun saqi chhoTe se paimane mein
umr hai fani umr hai baqi is ki kuchh parwa hi nahin
tu ye kah de waqt lagega kitna aane jaane mein
tujh se duri duri kab thi pas aur dur to dhoka hain
farq nahin anmol ratan ko kho kar phir se pane mein
do pal ki thi andhi jawani na-dani ki bhar paya
umr bhala kyun bite sari ro ro kar pachhtane mein
pahle tera diwana tha ab hai apna diwana
pagal-pan hai waisa hi kuchh farq nahin diwane mein
KHushiyan aain achchha aain mujh ko kya ehsas nahin
sudh-budh sari bhul gaya hun dukh ke git sunane mein
apni biti kaise sunaen mad-masti ki baaten hain
'mira-ji' ka jiwan bita pas ke ek mai-KHane mein
Ghazal
Chand sitare qaid hain sare waqt ke bandi-KHane mein
Meeraji