اردو हिंदी
Chand sa chehra nur ki chitwan masha-allah masha-allah | Shaahi Shayari
chand sa chehra nur ki chitwan masha-allah masha-allah

Ghazal

Chand sa chehra nur ki chitwan masha-allah masha-allah

Ameer Minai

;

chand sa chehra nur ki chitwan masha-allah masha-allah
turfa nikala aap ne joban masha-allah masha-allah

gul ruKH-e-nazuk zulf hai sumbul aankh hai nargis seb-e-zanaKHdan
husn se tum ho ghairat-e-gulshan masha-allah masha-allah

saqi-e-bazm-e-roz-e-azal ne baada-e-husn bhara hai is mein
aankhen hain saghar shisha hai gardan masha-allah masha-allah

qahr ghazab zahir ki rukawaT aafat-e-jaan dar-parda lagawaT
chah ki tewar pyar ki chitwan masha-allah masha-allah

ghamza uchakka ishwa hai Daku qahr adaen sehr hain baaten
chor nigahen naz hai rahzan masha-allah masha-allah

nur ka tan hai nur ke kapDe us par kya zewar ki chamak hai
chhalle kangan ikke joshan masha-allah masha-allah

jama kiya ziddain ko tum ne saKHti aisi narmi aisi
mom badan hai dil hai aahan masha-allah masha-allah

wah 'amir' aisa ho kahna sher hain ya mashuq ka gahna
saf hai bandish mazmun raushan masha-allah masha-allah