chand sa chehra jo us ka aashkara ho gaya
tan pe har qatra pasine ka sharara ho gaya
chhup saka dam bhar na raaz-e-dil firaq-e-yar mein
wo nihan jis dam hua sab aashkara ho gaya
jis ko dekha chashm-e-wehdat se wahi mashuq hai
paD gai jis par nazar us ka nazara ho gaya
ham-kinari ki hawas ai gauhar-e-yakta ye hai
aab ho kar gham se dil dariya hamara ho gaya
KHalq mein gard-e-yatimi se guhar ki qadr hai
KHaksari se fuzun rutba hamara ho gaya
dil mein hai ai 'barq' us but ke dar-e-dandan ki yaad
ye guhar arsh-e-barin ka goshwara ho gaya
Ghazal
Chand sa chehra jo us ka aashkara ho gaya
Mirza Raza Barq