chand nikle na kahin yar purane nikle
koi kambaKHt mera dil to jalane nikle
gham-e-nazuk ko tabassum ne kiya parda-nashin
ashk dushman ki tarah raaz batane nikle
main to bas sard hawa khane ko chhat par aaya
wo bhi sukhe hue kapDon ko uThane nikle
us ka gham tha ki mere dil pe sulaiman ki mohr
ashk nikle ki ye moti ke KHazane nikle
mujh pe sahra mein bhi ek sang kisi ne phenka
mere aage to ye majzub siyane nikle
daur-e-hazir ke suKHan-saz hain kis ujlat mein
subh diwan kaha sham chhapane nikle
phir se betab hai us chand ka para para
hae wo chand to ungli ko nachane nikle
mushk-e-nepal ne aalam se mashaiKH khinche
khodi miTTi to kai dafan KHazane nikle
teri galiyon ka pata mushk se malum kiya
phir usi or kai bigDi banane nikle
Ghazal
Chand nikle na kahin yar purane nikle
Sarwar nepali