اردو हिंदी
Chand nikle kisi jaanib teri zebai ka | Shaahi Shayari
chand nikle kisi jaanib teri zebai ka

Ghazal

Chand nikle kisi jaanib teri zebai ka

Faiz Ahmad Faiz

;

chand nikle kisi jaanib teri zebai ka
rang badle kisi surat shab-e-tanhai ka

daulat-e-lab se phir ai KHusraw-e-shirin-dahanan
aaj arzan ho koi harf shanasai ka

garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanan
tazkira chheDe teri pairahan-arai ka

sehn-e-gulshan mein kabhi ai shah-e-shamshad-qadan
phir nazar aae saliqa teri ranai ka

ek bar aur masiha-e-dil-e-dil-zadagan
koi wada koi iqrar masihai ka

dida o dil ko sambhaalo ki sar-e-sham-e-firaq
saz-o-saman baham pahuncha hai ruswai ka