اردو हिंदी
Chand nikla hai sar-e-qarya-e-zulmat dekho | Shaahi Shayari
chand nikla hai sar-e-qarya-e-zulmat dekho

Ghazal

Chand nikla hai sar-e-qarya-e-zulmat dekho

Muneer Niyazi

;

chand nikla hai sar-e-qarya-e-zulmat dekho
ho gai kaisi siyah-KHanon ki rangat dekho

samne jo hai use aankh ka dhoka samjho
in dayaron ko sada KHwab ki surat dekho

sair hai jaise koi, aise jahan se guzro
dur tak phaila hai ek arsa-e-furqat dekho

zar ki parchhain jo paDti hai chamak uThta hai
aadam-e-KHak ki be-hoshi mein haalat dekho

KHauf deta hai yahan abr mein tanha hona
shahr-e-dar-band mein diwaron ki kasrat dekho

saya hai un pe bahut bhuli hui yaadon ka
sham aai hai pari-zadon mein wahshat dekho

dagh hai is ke na hone se dilon mein ab tak
uD gaya misl-e-saba gul ki haqiqat dekho

jangalon mein koi pichhe se bulae to 'munir'
muD ke raste mein kabhi us ki taraf mat dekho