chand mein Dhalne sitaron mein nikalne ke liye 
main to suraj hun bujhunga bhi to jalne ke liye 
manzilo tum hi kuchh aage ki taraf baDh jao 
rasta kam hai mere panw ko chalne ke liye 
zindagi apne sawaron ko giraati jab hai 
ek mauqa bhi nahin deti sambhalne ke liye 
main wo mausam jo abhi Thik se chhaya bhi nahin 
sazishen hone lagin mujh ko badalne ke liye 
wo teri yaad ke shole hon ki ehsas mere 
kuchh na kuchh aag zaruri hai pighalne ke liye 
ye bahana tere didar ki KHwahish ka hai 
hum jo aate hain idhar roz Tahalne ke liye 
aankh bechain teri ek jhalak ki KHatir 
dil hua jata hai betab machalne ke liye
        Ghazal
Chand mein Dhalne sitaron mein nikalne ke liye
Shakeel Azmi

