chand ko talab mujh ko KHwab wapas kar diya
din-Dhale suraj ne sab asbab wapas kar diya
is tarah bichhDa ki agli raunaqen phir aa gain
us ne mera halqa-e-ahbab wapas kar diya
phir bhaTakta phir raha hai koi burj-e-dil ke pas
kis ko ai chashm-e-sitara-yab wapas kar diya
main ne aankhon ke kinare bhi na tar hone diye
jis taraf se aaya tha sailab wapas kar diya
jaane kis diwar se Takra ke lauT aai hai gend
jaane kis diwar ne mahtab wapas kar diya
phir to us ki yaad bhi rakkhi na main ne apne pas
jab kiya wapas to kul asbab wapas kar diya
iltijaen kar ke mangi thi mohabbat ki kasak
be-dili ne yun gham-e-nayab wapas kar diya
Ghazal
Chand ko talab mujhko KHwab wapas kar diya
Abbas Tabish