chand ki ranaiyon mein raaz ye mastur hai
KHubsurat hai wahi jo dastaras se dur hai
apni sochon ke mutabiq kuchh bhi kar sakta nahin
aadmi haalat ke hathon bahut majbur hai
KHana-e-dil mein tum apne jhank kar dekho zara
mere iKHlas-o-mohabbat ka wahan bhi nur hai
husn ki taKHliq mein masruf hai rabb-e-jahan
aur shair husn ki tarif par mamur hai
ye hamare haq mein achchha ho bura ho kuchh bhi ho
hum ne karna hai wahi jo aap ko manzur hai
wo sarapa husn hai aur main sarapa ishq hun
saz se dil us ka mera soz se mamur hai
mujh ko hai manzur jabr-e-hijr bhi us ke liye
mujh se rah kar dur bhi koi agar masrur hai
aadmi kam-go hai aur ghar se nikalta bhi nahin
shahr mein phir bhi 'munawar' kis qadar mashhur hai
Ghazal
Chand ki ranaiyon mein raaz ye mastur hai
Munawwar Hashmi