chand ki kashti saji hai aur main
jhil hai ek jal-pari hai aur main
lau diye ki siskiyan leti hui
TimTimati raushni hai aur main
dhup qarnon ki masafat se niDhaal
tez lamhon ki nadi hai aur main
gosh-bar-awaz hain diwar-o-dar
be-wazahat naghmagi hai aur main
phir usi aawaz ka mauhum aks
phir wahi harf-e-KHafi hai aur main
ilm ka sahra hai ta-hadd-e-nazar
ek musalsal tishnagi hai aur main
phir wahi be-nam pagal KHwahishen
phir wahi andhi gali hai aur main
bikhre bikhre KHwab hain mere liye
reza reza zindagi hai aur main
nind se bojhal hain palken raat ki
ek adhuri Diary hai aur main
Ghazal
Chand ki kashti saji hai aur main
Nusrat Gwaliari