اردو हिंदी
Chand ki bebasi ko samjhungi | Shaahi Shayari
chand ki bebasi ko samjhungi

Ghazal

Chand ki bebasi ko samjhungi

zahraa Qarar

;

chand ki bebasi ko samjhungi
raushni ki kami ko samjhungi

ek patthar se dosti kar ke
aap ki be-ruKHi ko samjhungi

main charaghon ko taq par rakh kar
hasil-e-zindagi ko samjhungi

is badan ka tilism TuTe to
phul ki tazgi ko samjhungi

log kahte hain jab mujhe behis
main bhala kyun kisi ko samjhungi

phone par baat hogi fursat se
aur ek ajnabi ko samjhungi

mujh se ummid mat lagao tum
main nahin jo sabhi ko samjhungi

ja ke dariya kinare baiThungi
shor mein KHamushi ko samjhungi

main suhulat-pasand hun 'zahra'
aapsi dushmani ko samjhungi