chand ki awwal kiran manzar-ba-manzar aaegi
sham Dhal jaane do shab zina utar kar aaegi
mere bistar tak abhi aai hai wo KHushbu-e-KHwab
rafta rafta bazuon mein bhi badan bhar aaegi
jaane wo bolega kya kya aur bari ho jaega
kuchh sununga main to sab tohmat mere sar aaegi
wo khaDi hai ek riwayat ki tarah dahliz par
sair ka bhi shauq hai lekin na bahar aaegi
yun ki tujh se dur bhi hote chale jaenge hum
jaante bhi hain sada teri barabar aaegi
kya khaDa naddi kinare dekhta hai wusaten
kya samajhta hai koi mauj-e-samundar aaegi
kya ajab hote hain baatin raston ke silsile
koi bhi zindan ho 'bani' raushni dar aaegi
Ghazal
Chand ki awwal kiran manzar-ba-manzar aaegi
Rajinder Manchanda Bani