chand kaise kisi tare mein sama jaega
phir bhi ummid ko zid hai ki wo aa jaega
kya KHabar thi meri raaton ki wo ninden le kar
jugnuon ko meri palkon pe saja jaega
gham ke sahra mein bikhar jaun main tinkon ki tarah
ek jhonka bhi ye tufan uTha jaega
apna har lafz utarega mere zehan mein phir
dil mein jo baat chhupi hai wo bacha jaega
'mina' chhanw ki mohabbat mein na sarshaar raho
chaDhta suraj abhi sae ko ghaTa jaega
Ghazal
Chand kaise kisi tare mein sama jaega
Meena Naqvi