اردو हिंदी
Chand ka patthar bandh ke tan se utri manzar-e-KHwab mein chup | Shaahi Shayari
chand ka patthar bandh ke tan se utri manzar-e-KHwab mein chup

Ghazal

Chand ka patthar bandh ke tan se utri manzar-e-KHwab mein chup

Abbas Tabish

;

chand ka patthar bandh ke tan se utri manzar-e-KHwab mein chup
chiDiyan dur sidhaar gain aur Dub gai talab mein chup

lafzon ke baTware mein is chiKH-bhare gahware mein
bol to hum bhi sakte hain par shamil hai aadab mein chup

pahle to chaupal mein apna jism chaTaKHta rahta tha
chal nikli jab baat safar ki phail gai aasab mein chup

ab to hum yun rahte hain is hijr-bhare virane mein
jaise aankh mein aansu gum ho jaise harf kitab mein chup

apni aahaT ko bhi apne sath nahin le jate wo
teri rah pe chalne wale rakhte hain asbab mein chup