اردو हिंदी
Chand ka KHwab ujalon ki nazar lagta hai | Shaahi Shayari
chand ka KHwab ujalon ki nazar lagta hai

Ghazal

Chand ka KHwab ujalon ki nazar lagta hai

Waseem Barelvi

;

chand ka KHwab ujalon ki nazar lagta hai
tu jidhar ho ke guzar jae KHabar lagta hai

us ki yaadon ne uga rakkhe hain suraj itne
sham ka waqt bhi aae to sahar lagta hai

ek manzar pe Thaharne nahin deti fitrat
umr bhar aankh ki qismat mein safar lagta hai

main nazar bhar ke tere jism ko jab dekhta hun
pahli barish mein nahaya sa shajar lagta hai

be-sahaara tha bahut pyar koi puchhta kya
tu ne kandhe pe jagah di hai to sar lagta hai

teri qurbat ke ye lamhe use ras aaen kya
subh hone ka jise sham se Dar lagta hai