chand hi nikla na baadal hi chhama-chham barsa
raat dil par gham-e-dil surat-e-shabnam barsa
jalti jati hain jaDen sukhte jate hain shajar
ho jo taufiq to aansu hi koi dam barsa
mere arman the barsat ke baadal ki tarah
ghunche shaki hain ki ye abr bahut kam barsa
pai-ba-pai aae sajal taron ke manind KHayal
meri tanhai pe shab husn jhama-jham barsa
kitne na-paid ujalon se kiya hai aabaad
wo andhera jo meri aankhon pe paiham barsa
sard jhonkon ne kahi suni ruton se kya baat
kin tamannaon ka KHun shaKHon se tham tham barsa
qarya qarya thi 'ziya' hasrat-e-abaadi-e-dil
qarya qarya wahi virani ka aalam barsa
Ghazal
Chand hi nikla na baadal hi chhama-chham barsa
Zia Jalandhari