chand hain na tare hain aasman ke aangan mein
raqs karte hain shoale ab to shab ke daman mein
wahshaten hain raqsinda har gali har aangan mein
tere ahd-e-zarrin mein ashk-e-KHun hain daman mein
kaun dhoka deta hai kaun TuTa karta hai
ab tamiz mushkil hai rahbar mein rahzan mein
aise ab ke yaad aai is mah-e-do-hafta ki
chandni utar aai jaise ghar ke aangan mein
makDiyon ke jalon mein jaise kiDe hon be-bas
uljhe hain kuchh aise hi ahl-e-fikr uljhan mein
yun nishan hain rahon mein karwan ke qadmon ke
khil rahe hun har jaanib phul jis tarah ban mein
phul khilte the 'talib' KHushbu raqs karti thi
aaj shoale raqsan hain shaKH-e-sham-e-gulshan mein
Ghazal
Chand hain na tare hain aasman ke aangan mein
Ishtiyaq Talib