chand bhi sitaron ko sath le ke chalta hai
jaane kyun bhaTakte hain log be-sabab tanha
dekhiye andheron ke jism kab pighalte hain
tirgi ziyaada hai aur charagh-e-shab tanha
hum jigar-figaron ki is ada ko kya kahiye
baiThte hain sab mil kar sochte hain sab tanha
aap ko na ras aai anjuman to kya hoga
hum to kaT hi lenge apne roz-o-shab tanha
aur hum kahan jaen kisi se raushni mangen
shahr mein tumhin to ho ek mah-laqab tanha
Ghazal
Chand bhi sitaron ko sath le ke chalta hai
Dilkash Sagari