chaal ek aisi chali har shaKHs sidha ho gaya
baat bas itni ki main thoDa sa tirchha ho gaya
log bole ab naya ho ja purana-pan utar
main bhi kya karta sar-e-bazar nanga ho gaya
us janam mein phir mujhe waisi hi gumnami mili
ittifaq aisa ki phir us ghar mein paida ho gaya
TuT kar tare gire kal shab mari dahliz par
us ki bhi aankhen gain aur main bhi andha ho gaya
chhe dinon tak shahar mein ghuma wo bachchon ki tarah
satwen din jab wo ghar pahuncha to buDha ho gaya
do dinon mein hum zara kuchh aur lambe ho gae
qad hamare doston ka aur chhoTa ho gaya
chal diye duniya se hum 'pashi' sabhi kuchh tyag kar
aur hamare sath hi ek daur pura ho gaya
Ghazal
Chaal ek aisi chali har shaKHs sidha ho gaya
Kumar Pashi