chaal hum sab se chal gaya suraj
kitna aage nikal gaya suraj
jalte jalte pighal bhi sakta hai
jab suna to dahal gaya suraj
roz ki tarah kal bhi aaunga
aaj bhi sab ko chhal gaya suraj
sar chhapane ko jab jagah na mili
kitne chehron mein Dhal gaya suraj
ek badli jo pas se guzri
rang kitne badal gaya suraj
tah karo KHwab shab sameTo ab
phir safar par nikal gaya suraj
Dar gaya shahar ke makanon se
waqt se pahle Dhal gaya suraj
Ghazal
Chaal hum sab se chal gaya suraj
Sheen Kaaf Nizam