chaal apni ada se chalte hain
hum kahan kaj-rawi se Talte hain
zindagi be-ruKHi se pesh na aa
tujh pe ehsan mere nikalte hain
kardan hain bala ke sab chehre
aaine ko hunar se chhalte hain
koi aatish-fishan hai sine mein
ashk misl-e-sharar nikalte hain
us ke tarz-e-suKHan ke mare log
apna lahja kahan badalte hain
aaj so lun ki hai suhulat-e-shab
din kahan roz roz Dhalte hain
aa gai lau KHizan ki parbat tak
wadiyon mein chinar jalte hain
panja-e-zehn ke tale paiham
tair-e-dil kai machalte hain
KHwab ka jin na aaega bahar
be-sabab aap aankh malte hain
tujh se kirdar hon 'bakul' jin mein
aise qisse kahan sambhalte hain
Ghazal
Chaal apni ada se chalte hain
Bakul Dev