chaal aisi wo shoKH chalta hai
hashr ka jis pe dam nikalta hai
ashk-e-KHun kyun na aankh se Tapken
dil ka arman yunhi nikalta hai
saqiya ek jam ke chalte
kitne pyason ka kaam chalta hai
main kisi sarzamin ka qasd karun
aasman sath sath chalta hai
hae gardish wo chashm-e-saqi ki
main ye samjha ki jam chalta hai
sarw hai nam naKHl-e-ulfat ka
phulta hai kabhi na phalta hai
kya zamana bhi hai asir tera
ki ishaare pe tere chalta hai
tir dil ka na khinch rahne de
lutf-e-sohbat hai ji bahalta hai
sher-e-rangin na samjho un ko 'jalil'
tuti-e-fikr lal ugalta hai
Ghazal
Chaal aisi wo shoKH chalta hai
Jaleel Manikpuri