chaakari mein rah ke is duniya ki mohmal ho gae the
hum tabhi to dekhte hi us ko pagal ho gae the
jism se bahar nikal aae the hum us ki sada par
ek lamhe ko to sare masale hal ho gae the
ishq maqnatis par sab jama the zarre hamare
muntashir miTTi ke mansube mukammal ho gae the
mere har misre pe us ne wasl ka misra lagaya
sab adhure sher shab bhar mein mukammal ho gae the
dar-ba-dar nakaam phirti thi siyah-baKHti hamari
aur hum ghabra ke un aaankhon mein kajal ho gae the
main makan-e-wasl mein pahuncha to wo KHali paDa tha
aur darwaze bhi bahar se muqaffal ho gae the
gard uDati ja rahi thi tez-raftari hamari
ham-safar sab dur tak aaankhon se ojhal ho gae the
'farhat-ehsas' ek dam aashiq hue the jaane kis ke
dekhte hi dekhte aaankhon se ojhal ho gae the
Ghazal
Chaakari mein rah ke is duniya ki mohmal ho gae the
Farhat Ehsas