chaak par miTTi ko mar jaana hai
KHwab-e-tamir bikhar jaana hai
hum ko us dasht mein jaana hoga
wahshaton ka yahi harjaana hai
sahibo hum hain usi saf ke log
jin se sahra ko sanwar jaana hai
samne hashr ki had hai sahab
ab hamein lauT ke ghar jaana hai
qabr-gah hain sadaon ki yahan
bas yahin hum ko bhi mar jaana hai
tum ko khone ka tumhein pane ka
hum ne har qism ka Dar jaana hai
koi bhi rah nahin hai us tak
hum ko malum hai par jaana hai
lo nazar aane laga us ka hashr
qafile walo Thahar jaana hai
kis liye tairna ashkon mein sada
ab tah-e-dida-e-tar jaana hai
wo 'dinesh' us ki gali hai aage
dekh lo tum ko kidhar jaana hai
Ghazal
Chaak par miTTi ko mar jaana hai
Dinesh naaidu