اردو हिंदी
Chaak ki KHwahish agar wahshat ba-uryani kare | Shaahi Shayari
chaak ki KHwahish agar wahshat ba-uryani kare

Ghazal

Chaak ki KHwahish agar wahshat ba-uryani kare

Mirza Ghalib

;

chaak ki KHwahish agar wahshat ba-uryani kare
subh ke manind zaKHm-e-dil garebani kare

jalwe ka tere wo aalam hai ki gar kije KHayal
dida-e-dil ko ziyarat-gah-e-hairani kare

hai shikastan se bhi dil naumid ya rab kab talak
aabgina koh par arz-e-giran-jaani kare

mai-kada gar chashm-e-mast-e-naz se pawe shikast
mu-e-shisha dida-e-saghar ki mizhgani kare

KHatt-e-ariz se likha hai zulf ko ulfat ne ahd
yak-qalam manzur hai jo kuchh pareshani kare