chaak karte hain gareban is farawani se hum
roz KHilat pate hain darbar-e-uryani se hum
muntaKHab karte hain maidan-e-shikast apne liye
KHak par girte hain lekin auj-e-sultani se hum
hum zamin-e-qatl-gah par chalte hain sine ke bal
jada-e-shamshir sar karte hain peshani se hum
han miyan duniya ki cham-KHam KHub hai apni jagah
ek zara ghabra gae hain dil ki virani se hum
zof hai had se ziyaada lekin is ke bawajud
zindagi se hath uTha sakte hain aasani se hum
dil se bahar aaj tak hum ne qadam rakkha nahin
dekhne mein zahira lagte hain sailani se hum
daulat-e-duniya kahan rakkhen jagah bhi ho kahin
bhar chuke hain apna ghar be-saz-o-samani se hum
zarra zarra jagmagati jalwa-barani-e-dost
dekhte hain rauzan-e-diwar hairani se hum
aql walo KHair jaane do nahin samjhoge tum
jis jagah pahunche hain rah-e-chaak-damani se hum
karobar-e-zindagi se ji churaate hain sabhi
jaise durweshi se tum maslan jahanbani se hum
Ghazal
Chaak karte hain gareban is farawani se hum
Ahmad Javed