chaak-e-daman ko jo dekha to mila id ka chand
apni taqdir kahan bhul gaya id ka chand
un ke abru-e-KHamida ki tarah tikha hai
apni aankhon mein baDi der chhupa id ka chand
jaane kyun aap ke ruKHsar mahak uThte hain
jab kabhi kan mein chupke se kaha id ka chand
dur viran basere mein diya ho jaise
gham ki diwar se dekha to laga id ka chand
le ke haalat ke sahraon mein aa jata hai
aaj bhi KHuld ki rangin faza id ka chand
talKHiyan baDh gain jab zist ke paimane mein
ghol kar dard ke maron ne piya id ka chand
chashm to wusat-e-aflak mein khoi 'saghar'
dil ne ek aur jagah DhunD liya id ka chand
Ghazal
Chaak-e-daman ko jo dekha to mila id ka chand
Saghar Siddiqui