chaak-e-daman-e-qaba dagh-e-junun-saz bahut
hum ne pae hain dar-e-yar se eazaz bahut
hum se puchho ki gham-e-furqat-e-yaran kya hai
hum ne dekhe hain shab-e-hijr ke andaz bahut
raat bhar chand se hoti rahen teri baaten
raat khole hain sitaron ne tere raaz bahut
aaj kyun pahli si kuchh wahshat-e-dil koi nahin
aaj maddham hai shab-e-gham tera aaghaz bahut
ek hum hi ne sameTi hai udasi teri
sham-e-gham hum ne uThae hain tere naz bahut
Ghazal
Chaak-e-daman-e-qaba dagh-e-junun-saz bahut
Azhar Naqvi