chahun to abhi hijr ke haalat bata dun
phir kya hai tere wasl ki auqat bata dun
samjhe hai to bas mere zawahir ke ishaare
main apne pe aaun to teri zat bata dun
wo raaz jo kholega zawahir ki haqiqat
tu bole bata dun to main wo baat bata dun
paDh sakta hun main jald kitab-e-ruKH-e-raushan
chahun to mazamin-e-maqalat bata dun
sajdon ko mere nashr-o-ishaat ka nahin shauq
kyun ghair ko taKHsis-e-ibaadat bata dun
dushman ko to rakkhunga main mastur-e-zamana
mumkin hai kabhi apne muhimmat bata dun
main bhi tere hisse ka safar karta raha hun
ab aur tujhe kaun si saughat bata dun
tajdid-e-tafakkur ka tujhe wahm hua hai
main tere KHayalon mein tazadat bata dun
phir jaan gaya tere latifana suKHan ko
phir kya hai tera raaz-e-mudaraat bata dun
maKHmur hai madhosh hai duniya mere aage
kuchh aur bhi hain is ke KHurafat bata dun
taqdir hi kuchh apni maTar-gasht kiye hai
'tamjid' ye mumkin hai mahaalat bata dun
Ghazal
Chahun to abhi hijr ke haalat bata dun
Syed Tamjeed Haider Tamjeed