chahta ye hun ki benam-o-nishan ho jaun
shama ki tarah jalun aur dhuan ho jaun
pahle dahliz pe raushan karun aankhon ke charagh
aur phir KHud kisi parde mein nihan ho jaun
toD kar phenk dun ye firqa-parasti ke mahal
aur peshani pe sajde ka nishan ho jaun
dil se phir dard mahakne ki sadaen uTThen
kash aisa ho main teri rag-e-jaan ho jaun
bas tere zikr mein kaT jaen mere roz-o-shab
nur ki shaKH pe chiDiyon ki zaban ho jaun
KHak jis kuche ki malte hain farishte aa kar
main usi KHak ke zarron mein nihan ho jaun
meri aawara-mizaji ko sukun mil jae
dard ban kar tere sine mein rawan ho jaun
Ghazal
Chahta ye hun ki benam-o-nishan ho jaun
Azm Shakri