chahta hun pahle KHud-bini se maut aae mujhe
aap ko dekhun KHuda wo din na dikhlae mujhe
aas kya ab to ummid-e-na-ummidi bhi nahin
kaun de mujh ko tasalli kaun bahlae mujhe
dil dhaDakta hai shab-e-gham mein kahin aisa na ho
marg bhi ban kar mizaj-e-yar tarsae mujhe
le chalo lillah koi KHizr-e-mina ke huzur
aalam-e-gum-gashtagi ki rah batlae mujhe
ab to josh-e-arzu 'taslim' kahta hai yahi
rauza-e-shah-e-najaf-allah dikhlae mujhe
Ghazal
Chahta hun pahle KHud-bini se maut aae mujhe
Amirullah Tasleem