اردو हिंदी
Chahta hun intiha-e-dard-e-dil | Shaahi Shayari
chahta hun intiha-e-dard-e-dil

Ghazal

Chahta hun intiha-e-dard-e-dil

Hari Chand Akhtar

;

chahta hun intiha-e-dard-e-dil
mil gai aaKHir dawa-e-dard-e-dil

kya zaruri thi dawa-e-dard-e-dil
sun to lete majra-e-dard-e-dil

ishq ki wajh-e-nadamat kuchh na puchh
dil hai pahlu mein ba-ja-e-dard-e-dil

jis ko dil lene pe itna naz hai
kash hota aashna-e-dard-e-dil

yun nahin miTne ki 'aKHtar' ye KHalish
dil kahin aae to ja-e-dard-e-dil