chaho to mera dukh mera aazar na samjho
lekin mere KHwabon ko gunahgar na samjho
aasan nahin insaf ki zanjir hilana
duniya ko jahangir ka darbar na samjho
aangan ke sukun ki koi qimat nahin hoti
kahte ho jise ghar use bazar na samjho
ujDe hue taqon pe jami gard ki tah mein
ru-posh hain kis qism ke asrar na samjho
ehsas ke sau zaKHm bacha sakte ho 'aKHtar'
izhaar-e-murawwat ko agar pyar na samjho
Ghazal
Chaho to mera dukh mera aazar na samjho
Akhtar Bastavi