اردو हिंदी
Chahiye duniya na uqba chahiye | Shaahi Shayari
chahiye duniya na uqba chahiye

Ghazal

Chahiye duniya na uqba chahiye

Jaleel Manikpuri

;

chahiye duniya na uqba chahiye
jo tujhe chahe use kya chahiye

zindagi kya jo basar ho chain se
dil mein thoDi si tamanna chahiye

tab-e-nazzara in aankhon ko kahan
dekhne walon se parda chahiye

mujh ko dekho aur meri aarzu
ek hasin achchhe se achchha chahiye

wo bahut der-ashna hai ai 'jalil'
aashnai ko zamana chahiye