chahi thi dil ne tujh se wafa kam bahut hi kam
shayad isi liye hai gila kam bahut hi kam
kya husn tha ki aankh lagi saya ho gaya
wo sadgi ki mar, haya kam bahut hi kam
the dusre bhi teri mohabbat ke aas-pas
dil ko magar sukun mila kam bahut hi kam
jalte suna charagh se daman hazar bar
daman se kab charagh jala kam bahut hi kam
ab ruh kanpti hai ajal hai qarib-tar
ai ham-nasib naz-o-ada kam bahut hi kam
yun mat kaho 'KHizan' ki bahut der ho gai
hain aaj-kal wo tum se KHafa kam bahut hi kam
Ghazal
Chahi thi dil ne tujhse wafa kam bahut hi kam
Mahboob Khizan