chahe so hamein kar tu gunahgar hain tere
taqdir thi apni ki giraftar hain tere
marte hain kabhi aa ke hamari bhi KHabar le
aah ai but-e-bedard ye bimar hain tere
naqd-e-dil-o-din muft mein de baiThenge aaKHir
hum aashiq-e-muflis ki KHaridar hain tere
KHwahish hai na bose ki na aaghosh se matlab
didar ke yan sirf talabgar hain tere
hai ru-e-zamin arsa-e-mahshar unhen har roz
jo dil-shuda-e-qamat-o-raftar hain tere
hum wasl mein aur hijr mein jalte rahe un se
kya dagh-e-jigar ye gul-e-ruKHsar hain tere
saugand hai 'hasrat' mujhe ejaz-e-suKHan ki
ye sehr hain jadu hain na ashaar hain tere
Ghazal
Chahe so hamein kar tu gunahgar hain tere
Hasrat Azimabadi